kahi baat usne bhi KHadshat ki
kahī baat us ne bhī ḳhadshāt kī
kahāñ the ye tum ne kidhar raat kī
ye shiknoñ bharī jo tirī shaal hai
hai kahtī kahānī kisī raat kī
hamesha rahegī mire saath ye
sanam tum ne ġham kī jo sauġhāt kī
tirī aañkh ne jab bhī dekhā hameñ
kalī muskurā dī hai jazbāt kī
bahut dukh se sahnī paḌī hai mujhe
ghaḌī ye mohabbat ke sadmāt kī
ye patthar jo maarā tirī yaad ne
badal dī kahānī ḳhayālāt kī
thiiñ bāñheñ gale meñ mire yaar kī
ye tasvīr thī us mulāqāt kī
kahi baat us ne bhi KHadshat ki
kahan the ye tum ne kidhar raat ki
ye shiknon bhari jo teri shaal hai
hai kahti kahani kisi raat ki
hamesha rahegi mere sath ye
sanam tum ne gham ki jo saughat ki
teri aankh ne jab bhi dekha hamein
kali muskura di hai jazbaat ki
bahut dukh se sahni paDi hai mujhe
ghaDi ye mohabbat ke sadmat ki
ye patthar jo mara teri yaad ne
badal di kahani KHayalat ki
thin banhen gale mein mere yar ki
ye taswir thi us mulaqat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.