Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati

Swati Sani Resham

kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati

Swati Sani Resham

MORE BYSwati Sani Resham

    kahī jo baat vo sach bhī magar maanī nahīñ jaatī

    mire chhoTe se dil ye pareshānī nahīñ jaatī

    vo beTā hai maiñ beTī huuñ yahī ik farq hai ham meñ

    mirī qismat meñ hai piñjra vaañ shaitānī nahīñ jaatī

    kisī ke aañkh paanī kisī ke dil vīrānī

    agar parde ke pīchhe ho to pahchānī nahīñ jaatī

    vo aadhe chāñd ke chhupne pe tāroñ chamak uThnā

    ye manzar bārhā dekhā pa hairānī nahīñ jaatī

    isī ummīd meñ the ham ki duniyā meñ sukūñ hogā

    ḳhabar jag bhar rakhte haiñ pa nādānī nahīñ jaatī

    kisī ke dil ko toḌā thā huī thī ye ḳhatā ham se

    bahut muddat huī lekin pashemānī nahīñ jaatī

    baḌī lambī chhalāñgeñ haiñ bahut ūñche haiñ sab sapne

    mire poshīda ḳhvāboñ farāvānī nahīñ jaatī

    kahi jo baat wo sach bhi magar mani nahin jati

    mere chhoTe se dil ki ye pareshani nahin jati

    wo beTa hai main beTi hun yahi ek farq hai hum mein

    meri qismat mein hai pinjra wan shaitani nahin jati

    kisi ke aankh ka pani kisi ke dil ki virani

    agar parde ke pichhe ho to pahchani nahin jati

    wo aadhe chand ke chhupne pe taron ka chamak uThna

    ye manzar barha dekha pa hairani nahin jati

    isi ummid mein the hum ki duniya mein sukun hoga

    KHabar jag bhar ki rakhte hain pa nadani nahin jati

    kisi ke dil ko toDa tha hui thi ye KHata hum se

    bahut muddat hui lekin pashemani nahin jati

    baDi lambi chhalangen hain bahut unche hain sab sapne

    mere poshida KHwabon ki farawani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now