Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi

Jaleel Hashmi

kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi

Jaleel Hashmi

MORE BYJaleel Hashmi

    kahī na un se jo hoñToñ pe baat aa.ī bhī

    ki āshnā.ī bhī thī sharm-e-āshnā.ī bhī

    koī talab thī to dast-e-savāl phailāte

    magar milī thī kahāñ sūrat-e-gadā.ī bhī

    kaho havā se chale aaj raat tham tham kar

    ki aag hai mire dāman meñ kuchh parā.ī bhī

    tire karam ke fasāne to shahr bhar se kahe

    tire sitam kahāñ ke deñ dahā.ī bhī

    tirī sadā pe gumāñ dhaḌkanoñ hotā thā

    'ajab thā ab ke sukūt-e-shab-e-judā.ī bhī

    tumhārī ham-safarī ke bhī the bahut ehsāñ

    huī hai vaj.h-e-nadāmat shikasta-pā.ī bhī

    nazar bujhī to mile raushnī kahāñ 'hashamī'

    jalā ke sham' bahut aañkh se lagā.ī bhī

    kahi na un se jo honTon pe baat aai bhi

    ki aashnai bhi thi sharm-e-ashnai bhi

    koi talab thi to dast-e-sawal phailate

    magar mili thi kahan surat-e-gadai bhi

    kaho hawa se chale aaj raat tham tham kar

    ki aag hai mere daman mein kuchh parai bhi

    tere karam ke fasane to shahr bhar se kahe

    tere sitam ki kahan ja ke den dahai bhi

    teri sada pe guman dhaDkanon ka hota tha

    'ajab tha ab ke sukut-e-shab-e-judai bhi

    tumhaari ham-safari ke bhi the bahut ehsan

    hui hai wajh-e-nadamat shikasta-pai bhi

    nazar bujhi to mile raushni kahan 'hashami'

    jala ke sham' bahut aankh se lagai bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now