Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain

Ashfaq Husain

kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    kahīñ bhī ke baserā kareñ udhar ke haiñ

    hamāre saare havāle hamāre ghar ke haiñ

    hamārī saañs talak hamārā virsa hai

    hamāre ḳhvāb bhī āñkhoñ meñ raat bhar ke haiñ

    maiñ in se TuuT ke kartā huuñ pyaar kyuuñ na karūñ

    ye saare phuul ye patte mire shajar ke haiñ

    vo jis ko chāhe banā de kalām-e-fan misāl

    tamām mo.ajize us dast-e-kūza-gar ke haiñ

    tirī nazar se tire dil tak aane jaane meñ

    jo fāsle haiñ vo lagtā hai umr bhar ke haiñ

    karūñ to kaise karūñ maiñ tirī galī meñ qayām

    mire to jo bhī sitāre haiñ vo safar ke haiñ

    kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain

    hamare sare hawale hamare ghar hi ke hain

    hamari sans talak hi hamara wirsa hai

    hamare KHwab bhi aankhon mein raat bhar hi ke hain

    main in se TuT ke karta hun pyar kyun na karun

    ye sare phul ye patte mere shajar hi ke hain

    wo jis ko chahe bana de kalam-e-fan ki misal

    tamam moajize us dast-e-kuza-gar hi ke hain

    teri nazar se tere dil tak aane jaane mein

    jo fasle hain wo lagta hai umr bhar hi ke hain

    karun to kaise karun main teri gali mein qayam

    mere to jo bhi sitare hain wo safar hi ke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now