Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin jata nahin ye dard-e-dil Thahra bhi rahta hai

Piyush Awasthi

kahin jata nahin ye dard-e-dil Thahra bhi rahta hai

Piyush Awasthi

MORE BYPiyush Awasthi

    kahīñ jaatā nahīñ ye dard-e-dil Thahrā bhī rahtā hai

    purāne zaḳhm se rishta mirā gahrā bhī rahtā hai

    vo sab kuchh jaan letā hai mirā chehrā paḌh paḌh kar

    banā rahne do pahra koī gar pahra bhī rahtā hai

    bahut saarī Tsunami haiñ mire dil tarah us meñ

    mahaz dikhtā hai paanī jhiil Thahrā bhī rahtā hai

    tarāzū se na tolo tum hamārī pyaas matlab

    kabhī dariyā bhī rahtā hai kabhī sahrā bhī rahtā hai

    hai kuchh jādū-bharī kursī siyāsat ki jo baiThā

    kabhī andhā bhī rahtā hai kabhī bahra bhī rahtā hai

    kahin jata nahin ye dard-e-dil Thahra bhi rahta hai

    purane zaKHm se rishta mera gahra bhi rahta hai

    wo sab kuchh jaan leta hai mera chehra hi paDh paDh kar

    bana rahne do pahra koi gar pahra bhi rahta hai

    bahut sari Tsunami hain mere dil ki tarah us mein

    mahaz dikhta hai pani jhil ka Thahra bhi rahta hai

    taraazu se na tolo tum hamari pyas ka matlab

    kabhi dariya bhi rahta hai kabhi sahra bhi rahta hai

    hai kuchh jadu-bhari kursi siyasat ki ki jo baiTha

    kabhi andha bhi rahta hai kabhi bahra bhi rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now