Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain

Ijtiba Rizvi

kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    kahīñ nazar joḌī rahī hai to dil kahīñ toḌe rahe haiñ

    hameñ na chheḌo ham in tamāshoñ ko dekh kar chhoḌe rahe haiñ

    jahāñ hai sarsabz kisht-e-armāñ ujaaḌ sahrā vahāñ rahegā

    udhar ko jo bah rahī haiñ nahreñ ab un ke ruḳh moḌe rahe haiñ

    suno ki jis jis ne tum ko chāhā usī ne bohtān tum pe bāñdhe

    qasam mohabbat tohmateñ kuchh phir aaj ham joḌe rahe haiñ

    ye rasm-e-mai-ḳhāna kyā hai āḳhir koī to pīr-e-muġhāñ se pūchhe

    jo kal banā.e ga.e the kuuze vo aaj kyoñ toḌe rahe haiñ

    fazā meñ ik do pahar ko garmī havā meñ ik do ghaḌī ko sho'le

    yahī nishānī hai jalne vāloñ ham yahī chhoḌe rahe haiñ

    siyāh-mastoñ laġhzishoñ par kab is se pardā paḌegā saaqī

    jo raat toḌe ga.e vo shīshe sahar ko kyā joḌe rahe haiñ

    nazar vo garmiyāñ bhī dekhīñ adā ye jhiḌkiyāñ bhī dekho

    jo dil meñ Daale ga.e the 'rizvī' vo aable toḌe rahe haiñ

    kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain

    hamein na chheDo hum in tamashon ko dekh kar chhoDe ja rahe hain

    jahan hai sarsabz kisht-e-arman ujaD sahra wahan rahega

    udhar ko jo bah rahi hain nahren ab un ke ruKH moDe ja rahe hain

    suno ki jis jis ne tum ko chaha usi ne bohtan tum pe bandhe

    qasam mohabbat ki tohmaten kuchh phir aaj hum joDe ja rahe hain

    ye rasm-e-mai-KHana kya hai aaKHir koi to pir-e-mughan se puchhe

    jo kal banae gae the kuze wo aaj kyon toDe ja rahe hain

    faza mein ek do pahar ko garmi hawa mein ek do ghaDi ko sho'le

    yahi nishani hai jalne walon ki hum yahi chhoDe ja rahe hain

    siyah-maston ki laghzishon par kab is se parda paDega saqi

    jo raat toDe gae wo shishe sahar ko kya joDe ja rahe hain

    nazar ki wo garmiyan bhi dekhin ada ki ye jhiDkiyan bhi dekho

    jo dil mein Dale gae the 'rizwi' wo aable toDe ja rahe hain

    Source:

    Shola-e-Nida (Pg. 222)

    • Author: Ijtiba Rizvi
      • Publisher: Husain Ahmad Madani
      • Year of Publication: 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now