kahin pe sarw kahin par gulab KHwabida
kahīñ pe sarv kahīñ par gulāb ḳhvābīda
is āb-o-gil meñ hai kyā iztirāb ḳhvābīda
use chhu.ūñ to mire haath jagmagāte haiñ
hai us badan meñ koī māhtāb ḳhvābīda
uThā hai bistar-e-shab se vo le ke añgḌā.ī
khule haiñ zer-e-qabā pech-o-tāb ḳhvābīda
badan kī oT meñ qaus-e-qamar dhaḌaktī hai
hai kam-sinī meñ tulū'-e-shabāb ḳhvābīda
havā bhī sāhil-e-dariyā pe aa ke ruktī hai
huā hai chāñd bhī pahlū-e-āb ḳhvābīda
thī ḳhāmushī meñ takallum kī ek shīrīnī
ram-e-nafas meñ thā tār-e-rabāb ḳhvābīda
khulī jo aañkh to asrār khul ga.e saare
thā har savāl meñ jaise javāb ḳhvābīda
ye merā dil hai harīm-e-suḳhan ke qadmoñ meñ
hai koī phuul kinār-e-kitāb ḳhvābīda
mujhe gumān ki maiñ huuñ magar nahīñ huuñ maiñ
hai mere chashma-e-jāñ meñ sarāb ḳhvābīda
bas ab to yūñhī paḌe rahiye ḳhvāb-e-ġhaflat meñ
ki jāgne meñ haiñ saare 'azāb ḳhvābīda
use jo dekhūñ maiñ 'sarmad' to dekhtā jā.ūñ
ki jaise ḳhvāb ke andar ho ḳhvāb ḳhvābīda
kahin pe sarw kahin par gulab KHwabida
is aab-o-gil mein hai kya iztirab KHwabida
use chhuun to mere hath jagmagate hain
hai us badan mein koi mahtab KHwabida
uTha hai bistar-e-shab se wo le ke angDai
khule hain zer-e-qaba pech-o-tab KHwabida
badan ki oT mein qaus-e-qamar dhaDakti hai
hai kam-sini mein tulu'-e-shabab KHwabida
hawa bhi sahil-e-dariya pe aa ke rukti hai
hua hai chand bhi pahlu-e-ab KHwabida
thi KHamushi mein takallum ki ek shirini
ram-e-nafas mein tha tar-e-rabab KHwabida
khuli jo aankh to asrar khul gae sare
tha har sawal mein jaise jawab KHwabida
ye mera dil hai harim-e-suKHan ke qadmon mein
hai koi phul kinar-e-kitab KHwabida
mujhe guman ki main hun magar nahin hun main
hai mere chashma-e-jaan mein sarab KHwabida
bas ab to yunhi paDe rahiye KHwab-e-ghaflat mein
ki jagne mein hain sare 'azab KHwabida
use jo dekhun main 'sarmad' to dekhta jaun
ki jaise KHwab ke andar ho KHwab KHwabida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.