Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai

Preeta Vajpayi

kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai

Preeta Vajpayi

MORE BYPreeta Vajpayi

    kahīñ tīrgī kahīñ raushnī yahī is jahāñ nizām hai

    ye to apnā apnā nasīb hai kahīñ sub.h to kahīñ shaam hai

    ye mohabbatoñ jahān hai yahāñ lamha lamha hai imtihāñ

    jo na ranj-o-ġham se ho āshnā use duur se salām hai

    mujhe mai se koī ġharaz nahīñ magar itnī baat zarūr hai

    jo surūr-e-ishq na de sake vo sharāb piinā harām hai

    mire shahr ke vo log haiñ magar un se rahiyegā bā-ḳhabar

    vo kisī ke kaam na ā.eñge unheñ apne kaam se kaam hai

    jise aap kahte haiñ lakhna.ū vo suḳhnavaroñ hai gulsitāñ

    mirā naam 'prītā' hai dosto mirā lakhna.ū meñ qayām hai

    kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai

    ye to apna apna nasib hai kahin subh to kahin sham hai

    ye mohabbaton ka jahan hai yahan lamha lamha hai imtihan

    jo na ranj-o-gham se ho aashna use dur hi se salam hai

    mujhe mai se koi gharaz nahin magar itni baat zarur hai

    jo surur-e-ishq na de sake wo sharab pina haram hai

    mere shahr hi ke wo log hain magar un se rahiyega ba-KHabar

    wo kisi ke kaam na aaenge unhen apne kaam se kaam hai

    jise aap kahte hain lakhnau wo suKHnawaron ka hai gulsitan

    mera nam 'prita' hai dosto mera lakhnau mein qayam hai

    Source:

    Shair (Pg. 57)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now