Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

Farah iqbal

kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    kahīñ yaqīñ se na ho jaa.eñ ham gumāñ tarah

    sambhāl kar hameñ rakhiye matā-e-jāñ tarah

    jise sadaf tarah aañkh meñ chhupāyā thā

    vo kho na jaa.e kahīñ ashk-e-rā.egāñ tarah

    hameñ bhī ḳhauf-e-talātum ne gher rakhā thā

    khulā nahīñ thā abhī vo bhī bādbāñ tarah

    nisāb-e-ishq meñ saare savāl mushkil the

    mohabbateñ bhī thiiñ darpesh imtihāñ tarah

    khule jo lab to unhī ā.inoñ meñ hairat thī

    jo dekhte the hameñ aks-e-be-zabāñ tarah

    jahāñ milī thiiñ kabhī ḳhushbueñ havāoñ se

    mahak rahā thā vo jañgal bhī gulistāñ tarah

    hunar-varī hai hamārī ki apne ḳhvāboñ se

    qafas bhī ham ne sajāyā thā āshiyāñ tarah

    kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

    sambhaal kar hamein rakhiye mata-e-jaan ki tarah

    jise sadaf ki tarah aankh mein chhupaya tha

    wo kho na jae kahin ashk-e-raegan ki tarah

    hamein bhi KHauf-e-talatum ne gher rakha tha

    khula nahin tha abhi wo bhi baadban ki tarah

    nisab-e-ishq mein sare sawal mushkil the

    mohabbaten bhi thin darpesh imtihan ki tarah

    khule jo lab to unhi aainon mein hairat thi

    jo dekhte the hamein aks-e-be-zaban ki tarah

    jahan mili thin kabhi KHushbuen hawaon se

    mahak raha tha wo jangal bhi gulistan ki tarah

    hunar-wari hai hamari ki apne KHwabon se

    qafas bhi hum ne sajaya tha aashiyan ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now