Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha

Saraswati Saran Kaif

kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha

Saraswati Saran Kaif

MORE BYSaraswati Saran Kaif

    kahīñ ye taskīn-e-dil na dekhī kahīñ ye ārām-e-jāñ na dekhā

    tumhāre dar jo ḳhaak paa.ī to ham ne sū-e-jināñ na dekhā

    baḌī chamak āftāb meñ thī ajab damak māhtāb meñ thī

    uchhāl ḳhāk-e-dil jo ham ne kisī ko phir zau-fishāñ na dekhā

    agar muqaddar kare na yaarī to farq kyā hai koī jagah ho

    chalo vo qaid-e-qafas dekhī phuñkā huā āshiyāñ na dekhā

    bajā ye farmāyā koī tujh gadā mubarram nahīñ jahāñ meñ

    huzūr maiñ ne bhī saarī duniyā meñ aap mehrbāñ na dekhā

    hazār phūloñ meñ dilkashī ho banā.e gulshan hai ḳhār-o-ḳhas par

    vo kyā chaman hai ki jis chaman ne nashāt-e-daur-e-ḳhizāñ na dekhā

    uchhāl kar kashtī-e-shikasta kināre maujoñ ne pheñk hai

    baḌā shohra thā bahr-e-ġham par us ko bhī be-karāñ na dekhā

    rukī rukī nabz Dūbtā dil ukhaḌtī sāñseñ bhaTaktī āñkheñ

    tumhāre dekhne ke qābil thā tum ne ye samāñ na dekhā

    kabhī purāne ġhamoñ sozish kabhī na.ī kashmakash khaTkā

    dil-e-girafta ko shādmānī meñ bhī kabhī shādmāñ na dekhā

    hazār ne harza-goī magar kahā mudda.ā na dil

    jo sach kaheñ to zamāne meñ 'kaif' tujh bhī be-zabāñ na dekhā

    kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha

    tumhaare dar ki jo KHak pai to hum ne su-e-jinan na dekha

    baDi chamak aaftab mein thi ajab damak mahtab mein thi

    uchhaal di KHak-e-dil jo hum ne kisi ko phir zau-fishan na dekha

    agar muqaddar kare na yari to farq kya hai koi jagah ho

    chalo wo qaid-e-qafas hi dekhi phunka hua aashiyan na dekha

    baja ye farmaya koi tujh sa gada mubarram nahin jahan mein

    huzur main ne bhi sari duniya mein aap sa mehrban na dekha

    hazar phulon mein dilkashi ho banae gulshan hai KHar-o-KHas par

    wo kya chaman hai ki jis chaman ne nashat-e-daur-e-KHizan na dekha

    uchhaal kar kashti-e-shikasta kinare maujon ne phenk di hai

    baDa hi shohra tha bahr-e-gham ka par us ko bhi be-karan na dekha

    ruki ruki nabz Dubta dil ukhaDti sansen bhaTakti aankhen

    tumhaare hi dekhne ke qabil tha tum ne hi ye saman na dekha

    kabhi purane ghamon ki sozish kabhi nai kashmakash ka khaTka

    dil-e-girafta ko shadmani mein bhi kabhi shadman na dekha

    hazar ki tu ne harza-goi magar kaha muddaa na dil ka

    jo sach kahen to zamane mein 'kaif' tujh sa bhi be-zaban na dekha

    Source:

    Shuur-e-Lashuuri (Pg. 14)

    • Author: Sarsvati Saran kaif
      • Edition: 1983
      • Publisher: Monthly Shan-e-Hind
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now