Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahne ko to malbus mein wo jism nihan tha

Tasnim Abbas Quraishi

kahne ko to malbus mein wo jism nihan tha

Tasnim Abbas Quraishi

MORE BYTasnim Abbas Quraishi

    kahne ko to malbūs meñ vo jism nihāñ thā

    har zāviya-e-pairahan 'usrat se 'ayāñ thā

    is dasht meñ ham qais ko yuuñ DhūñDne nikle

    jaise yahīñ ustād-e-mukarram makāñ thā

    urdu se huā 'ishq use 'ishq bhī aisā

    sab log samajhne lage vo ahl-e-zabāñ thā

    gumrāhī daldal se nikalte bhalā kaise

    rasta koī is jāda-e-hastī meñ kahāñ thā

    uḌtī hai jahāñ ret yahī aañkh sahrā

    kahte haiñ ga.e vaqtoñ meñ ik sail-e-ravāñ thā

    din raat lapak kar mirī lete the balā.eñ

    saath mire thā to mire saath jahāñ thā

    ḳhvāhish thī kahāñ radd-e-'amal koī 'tasnīm'

    har ek 'amal apnā bilā sūd-o-ziyāñ thā

    kahne ko to malbus mein wo jism nihan tha

    har zawiya-e-pairahan 'usrat se 'ayan tha

    is dasht mein hum qais ko yun DhunDne nikle

    jaise yahin ustad-e-mukarram ka makan tha

    urdu se hua 'ishq use 'ishq bhi aisa

    sab log samajhne lage wo ahl-e-zaban tha

    gumrahi ki daldal se nikalte bhala kaise

    rasta koi is jada-e-hasti mein kahan tha

    uDti hai jahan ret yahi aankh ka sahra

    kahte hain gae waqton mein ek sail-e-rawan tha

    din raat lapak kar meri lete the balaen

    tu sath mere tha to mere sath jahan tha

    KHwahish thi kahan radd-e-'amal ki koi 'tasnim'

    har ek 'amal apna bila sud-o-ziyan tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now