Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahta hai mera azm ki do-gam chala hun

Kazim Jarwali

kahta hai mera azm ki do-gam chala hun

Kazim Jarwali

MORE BYKazim Jarwali

    kahtā hai mirā azm ki do-gām chalā huuñ

    aur paañv ye kahte haiñ ki sadiyoñ thakā huuñ

    manzil bharam mujh pe ayaañ ho gayā yaaro

    behtar hai palaT jā.ūñ jahāñ se maiñ chalā huuñ

    dastūr-e-zamāna mujhe apnā.egā kyuuñ kar

    maiñ sar se utārī huī beva ridā huuñ

    sar dhuup meñ duniyā chhupānā nahīñ āsāñ

    maiñ qad meñ har ik jism ke saa.e se baḌā huuñ

    sau baar mirā ḳhuun bahāyā gayā nāhaq

    sau baar maiñ ehsās suulī pe chaḌhā huuñ

    ik 'umr mire dil ko ye ġham yaad rahegā

    be-jurm tire shahr ke zindāñ meñ rahā huuñ

    jis ghar bulandī pe mujhe naaz thā 'kāzim'

    maiñ aaj usī ghar bulandī se girā huuñ

    kahta hai mera azm ki do-gam chala hun

    aur panw ye kahte hain ki sadiyon ka thaka hun

    manzil ka bharam mujh pe ayan ho gaya yaro

    behtar hai palaT jaun jahan se main chala hun

    dastur-e-zamana mujhe apnaega kyun kar

    main sar se utari hui bewa ki rida hun

    sar dhup mein duniya ki chhupana nahin aasan

    main qad mein har ek jism ke sae se baDa hun

    sau bar mera KHun bahaya gaya nahaq

    sau bar main ehsas ki suli pe chaDha hun

    ek 'umr mere dil ko ye gham yaad rahega

    be-jurm tere shahr ke zindan mein raha hun

    jis ghar ki bulandi pe mujhe naz tha 'kazim'

    main aaj usi ghar ki bulandi se gira hun

    Source:

    کتاب سنگ (Pg. 29)

    • Author: کاظم جرولی
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now