kahta nahin hun logo main kar ke dikhaunga
kahtā nahīñ huuñ logo maiñ kar ke dikhā.ūñgā
phir se junūñ charāġh havā.eñ jalā.ūñgā
āñkhoñ ne nīñd-ruḳh na kiyā jāntā thā maiñ
tujh ḳhvāb tak rasā.ī kabhī maiñ na pā.ūñgā
sūraj sitam-nishāna banā huuñ isī liye
chāhā thā dhuup qahr se tujh ko bachā.uñgā
tanhā safar pe mujh ko ravāna to kar diyā
sochā nahīñ ki tujh ko bahut yaad ā.ūñgā
sach sun nahīñ sakegā koī varna jī meñ thā
duniyā ko jaisā dekhā hai sab ko batā.ūñgā
biite dinoñ ke nanhe parindoñ ke saa.e meñ
jiine kā lutf aur bhī kuchh din uThā.ūñgā
kahta nahin hun logo main kar ke dikhaunga
phir se junun charagh hawaen jalaunga
aankhon ne nind-ruKH na kiya jaanta tha main
tujh KHwab tak rasai kabhi main na paunga
suraj sitam-nishana bana hun isi liye
chaha tha dhup qahr se tujh ko bachaunga
tanha safar pe mujh ko rawana to kar diya
socha nahin ki tujh ko bahut yaad aaunga
sach sun nahin sakega koi warna ji mein tha
duniya ko jaisa dekha hai sab ko bataunga
bite dinon ke nanhe parindon ke sae mein
jine ka lutf aur bhi kuchh din uThaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.