Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain ki de meri bala dad kisi ki

Mubarak Azimabadi

kahte hain ki de meri bala dad kisi ki

Mubarak Azimabadi

MORE BYMubarak Azimabadi

    kahte haiñ ki de merī balā daad kisī

    kānoñ ko maza detī hai fariyād kisī

    ronā hai tirā kaam magar dīda-e-tar dekh

    tasvīr-e-ḳhyālī na ho barbād kisī

    kartā huuñ gila un se jo vīrāni-e-dil

    kahte haiñ ye bastī nahīñ ābād kisī

    ābād ḳhudā rakkhe tujhe kū-e-mohabbat

    miTTī nahīñ hotī yahāñ barbād kisī

    kuchh aur to ham paas 'mubārak' nahīñ rakhte

    rakhtā hai tamannā dil-e-nāshād kisī

    kahte hain ki de meri bala dad kisi ki

    kanon ko maza deti hai fariyaad kisi ki

    rona hai tera kaam magar dida-e-tar dekh

    taswir-e-KHyali na ho barbaad kisi ki

    karta hun gila un se jo virani-e-dil ka

    kahte hain ye basti nahin aabaad kisi ki

    aabaad KHuda rakkhe tujhe ku-e-mohabbat

    miTTi nahin hoti yahan barbaad kisi ki

    kuchh aur to hum pas 'mubarak' nahin rakhte

    rakhta hai tamanna dil-e-nashad kisi ki

    Source:

    intekhaab-e-kalaam (Pg. 42)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now