Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte ho le ke hath mein talwar chup raho

Dr. Fauq Kareemi

kahte ho le ke hath mein talwar chup raho

Dr. Fauq Kareemi

MORE BYDr. Fauq Kareemi

    kahte ho le ke haath meñ talvār chup raho

    dār-o-rasan pe aao sar-e-dār chup raho

    tum kar rahe ho aur mirī nafratoñ ko zikr

    tum to sivā ho mujh se gunahgār chup raho

    dīvār bhī to gosh-bar-āvāz hai miyāñ

    hai maslahat yahī pas-e-dīvār chup raho

    guzro ravish-ravish se gulistāñ baar baar

    dekho guloñ ko sūrat-e-gulzār chup raho

    kirdār hai to baat karo bazm meñ zarūr

    guftār hai to ġhāzī-e-guftār chup raho

    ham ko pata hai ḳhuub tumhārā hai zohd kyā

    ai mubtalā-e-taqvā-o-pindār chup raho

    zāhir karoge kis pe yahāñ tum rumūz-e-ishq

    dil meñ liye huuñ maḳhzan-e-asrār chup raho

    hāthoñ ko kuchh uThāo nigāhoñ se kaam lo

    dil baḌhā ke hausla-bardār chup raho

    ġhairat tumhāre naam se sharmā rahī hai aaj

    kahte ho apne aap ko ḳhuddār chup raho

    koī sharīk-e-dard tumhārā na hogā 'fauq'

    dil karoge kis se tum iz.hār chup raho

    kahte ho le ke hath mein talwar chup raho

    dar-o-rasan pe aao sar-e-dar chup raho

    tum kar rahe ho aur meri nafraton ko zikr

    tum to siwa ho mujh se gunahgar chup raho

    diwar bhi to gosh-bar-awaz hai miyan

    hai maslahat yahi pas-e-diwar chup raho

    guzro rawish-rawish se gulistan ki bar bar

    dekho gulon ko surat-e-gulzar chup raho

    kirdar hai to baat karo bazm mein zarur

    guftar hai to ghazi-e-guftar chup raho

    hum ko pata hai KHub tumhaara hai zohd kya

    ai mubtala-e-taqwa-o-pindar chup raho

    zahir karoge kis pe yahan tum rumuz-e-ishq

    dil mein liye hun maKHzan-e-asrar chup raho

    hathon ko kuchh uThao nigahon se kaam lo

    ya dil baDha ke hausla-bardar chup raho

    ghairat tumhaare nam se sharma rahi hai aaj

    kahte ho apne aap ko KHuddar chup raho

    koi sharik-e-dard tumhaara na hoga 'fauq'

    dil ka karoge kis se tum izhaar chup raho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now