Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaif-o-surur-o-masti humse KHud mein hain mai-KHana hum

Ghulam Mustafa Faraz

kaif-o-surur-o-masti humse KHud mein hain mai-KHana hum

Ghulam Mustafa Faraz

MORE BYGhulam Mustafa Faraz

    kaif-o-surūr-o-mastī ham se ḳhud meñ haiñ mai-ḳhāna ham

    shīsha sāġhar saaqī miinā jām-o-subū paimāna ham

    ek zarā der huī kyā us galī tak jaane meñ

    tanhā.ī shakl meñ ab tak bharte haiñ jurmāna ham

    jaane kaun jaadū thā us jhiil gahrī āñkhoñ meñ

    dil jaisī nāyāb shai tak de aa.e nazrāna ham

    jis ne chāhā jaisā chāhā joḌ liyā ik rishta phir

    ishq meñ tere bhuul ga.e jab apnā aur begāna ham

    rū-e-zamīñ ik ik manzar apnī nazar ke dam se hai

    sahrā aur samundar ham haiñ gulshan aur vīrāna ham

    rafta rafta miT jā.eñge naqsh hamārī hastī ke

    dhīre dhīre ho jā.eñge duniyā meñ afsāna ham

    kaif-o-surur-o-masti hum se KHud mein hain mai-KHana hum

    shisha saghar saqi mina jam-o-subu paimana hum

    ek zara si der hui kya us ki gali tak jaane mein

    tanhai ki shakl mein ab tak bharte hain jurmana hum

    jaane kaun sa jadu tha us jhil si gahri aankhon mein

    dil jaisi nayab si shai tak de aae nazrana hum

    jis ne chaha jaisa chaha joD liya ek rishta phir

    ishq mein tere bhul gae jab apna aur begana hum

    ru-e-zamin ka ek ek manzar apni nazar ke dam se hai

    sahra aur samundar hum hain gulshan aur virana hum

    rafta rafta miT jaenge naqsh hamari hasti ke

    dhire dhire ho jaenge duniya mein afsana hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now