Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaifiyat batlaun kya taswir ki

Dildar Dehlvi

kaifiyat batlaun kya taswir ki

Dildar Dehlvi

MORE BYDildar Dehlvi

    kaifiyat batlā.ūñ kyā tasvīr

    ik ġhazal zinda ho jaise 'mīr'

    kaun jaane kab badal degā ḳhudā

    baat mat karte raho taqdīr

    maañg kar tum ne duā.eñ kyā kiyā

    yaar koshish to karo tadbīr

    zindagī sadiyoñ nahīñ paatā koī

    laakh le koī duā.eñ piir

    taaj ko murda imārat mat kaho

    ishq ne to aarzū ta.amīr

    pyaar se duniyā yūñhī miltī rahe

    kyā zarūrat tiir shamshīr

    ḳhuun se ḳhat likh diyā 'dildār' ne

    aur tārīfeñ huiiñ tahrīr

    kaifiyat batlaun kya taswir ki

    ek ghazal zinda ho jaise 'mir' ki

    kaun jaane kab badal dega KHuda

    baat mat karte raho taqdir ki

    mang kar tum ne duaen kya kiya

    yar koshish to karo tadbir ki

    zindagi sadiyon nahin pata koi

    lakh le koi duaen pir ki

    taj ko murda imarat mat kaho

    ishq ne to aarzu tamir ki

    pyar se duniya yunhi milti rahe

    kya zarurat tir ki shamshir ki

    KHun se KHat likh diya 'dildar' ne

    aur tarifen huin tahrir ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now