kai chehre salamat hain kai yaaden salamat hain
ka.ī chehre salāmat haiñ ka.ī yādeñ salāmat haiñ
abhī TuuTe hue dil kī ka.ī kircheñ salāmat haiñ
ḳhayāloñ kī lakīreñ kyoñ adhūre ḳhvāb buntī haiñ
na ab tā'bīr baaqī hai na vo āñkheñ salāmat haiñ
abhī chaspāñ hai mere zehn pe sahrā kā sannāTā
abhī ḳhvāboñ meñ jaltī pyaas kī chīḳheñ salāmat haiñ
bhalā tanhā.ī meñ suunā shajar kis se hañse bole
na ab taa.ir salāmat haiñ na hī shāḳheñ salāmat haiñ
ye hai behtar hudūd-e-vaqt ke bāhar nikal jaa.eñ
yahāñ ab din salāmat haiñ na hī rāteñ salāmat haiñ
musalsal hāfize par vaqt kī choTeñ paḌīñ lekin
tirī ḳhushbū salāmat hai tirī bāteñ salāmat haiñ
abhī inkār kī jur.at dahaktī hai mire dil meñ
abhī tak jism meñ kuchh ḳhuun kī būñdeñ salāmat haiñ
kai chehre salamat hain kai yaaden salamat hain
abhi TuTe hue dil ki kai kirchen salamat hain
KHayalon ki lakiren kyon adhure KHwab bunti hain
na ab ta'bir baqi hai na wo aankhen salamat hain
abhi chaspan hai mere zehn pe sahra ka sannaTa
abhi KHwabon mein jalti pyas ki chiKHen salamat hain
bhala tanhai mein suna shajar kis se hanse bole
na ab tair salamat hain na hi shaKHen salamat hain
ye hai behtar hudud-e-waqt ke bahar nikal jaen
yahan ab din salamat hain na hi raaten salamat hain
musalsal hafize par waqt ki choTen paDin lekin
teri KHushbu salamat hai teri baaten salamat hain
abhi inkar ki jurat dahakti hai mere dil mein
abhi tak jism mein kuchh KHun ki bunden salamat hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 91)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.