Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha

Salman Sarwat

kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha

Salman Sarwat

MORE BYSalman Sarwat

    ka.ī silsiloñ se juḌā huā ye jo zindagī safar rahā

    na.ī manziloñ talāsh meñ ye rahīn-e-rāh-guzar rahā

    vo jo log mere ḳhulūs baḌā barmalā javāz the

    jo nigāh-e-nāz zo.am the maiñ unhī sarf-e-nazar rahā

    maiñ dayār-e-yār meñ ajnabī jahāñ umr saarī guzar ga.ī

    jise maiñ ne apnā samajh liyā vo nagar jahān-e-digar rahā

    kabhī sāz-e-ġham se jo sar mile to maiñ raqs-gāh meñ jal uThā

    mire baḳht meñ thī jo naġhmagī maiñ usī ke zer-e-asar rahā

    kisī aise ḳhauf meñ mubtalā ki bayāñ karūñ to karūñ bhī kyā

    thī jo mumkināt se māvarā mujhe aisī baat Dar rahā

    mirī aarzū koī ḳhvāb thā so maiñ rat-jagoñ se ulajh paḌā

    mirī āfiyat thī ḳhumār meñ mujhe jāgne meñ hunar rahā

    sabhī guftugū ma.aal hai na savāl kar na javāb de

    yahāñ shor-o-ġhul ke bahāv meñ jise chup lagī vo amar rahā

    kai silsilon se juDa hua ye jo zindagi ka safar raha

    nai manzilon ki talash mein ye rahin-e-rah-guzar raha

    wo jo log mere KHulus ka baDa barmala sa jawaz the

    jo nigah-e-naz ka zoam the main unhi ka sarf-e-nazar raha

    main dayar-e-yar mein ajnabi jahan umr sari guzar gai

    jise main ne apna samajh liya wo nagar jahan-e-digar raha

    kabhi saz-e-gham se jo sar mile to main raqs-gah mein jal uTha

    mere baKHt mein thi jo naghmagi main usi ke zer-e-asar raha

    kisi aise KHauf mein mubtala ki bayan karun to karun bhi kya

    thi jo mumkinat se mawara mujhe aisi baat ka Dar raha

    meri aarzu koi KHwab tha so main rat-jagon se ulajh paDa

    meri aafiyat thi KHumar mein mujhe jagne mein hunar raha

    sabhi guftugu ka maal hai na sawal kar na jawab de

    yahan shor-o-ghul ke bahaw mein jise chup lagi wo amar raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now