kaisa makan saya-e-diwar bhi nahin

Fuzail Jafri

kaisa makan saya-e-diwar bhi nahin

Fuzail Jafri

MORE BYFuzail Jafri

  kaisā makān sāya-e-dīvār bhī nahīñ

  jiite haiñ zindagī se magar pyaar bhī nahīñ

  uThtī nahīñ hai ham pe koī mehrbāñ nigāh

  kahne ko shahr mahfil-e-aġhyār bhī nahīñ

  ruk ruk ke chal rahe haiñ ki manzil nahīñ koī

  har kūcha varna kūcha-e-dildār bhī nahīñ

  guzrī hai yuuñ to dasht meñ tanhā.iyoñ ke umr

  dil be-niyāz-e-kūcha-o-bāzār bhī nahīñ

  aage baḌhā.iye to qadam aap 'ja.afarī'

  duniyā ab aisī vādī-e-pur-ḳhār bhī nahīñ

  kaisa makan saya-e-diwar bhi nahin

  jite hain zindagi se magar pyar bhi nahin

  uThti nahin hai hum pe koi mehrban nigah

  kahne ko shahr mahfil-e-aghyar bhi nahin

  ruk ruk ke chal rahe hain ki manzil nahin koi

  har kucha warna kucha-e-dildar bhi nahin

  guzri hai yun to dasht mein tanhaiyon ke umr

  dil be-niyaz-e-kucha-o-bazar bhi nahin

  aage baDhaiye to qadam aap 'jafari'

  duniya ab aisi wadi-e-pur-KHar bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY