kaisa manzar tha ki pas-manzar mein rah jata raha
kaisā manzar thā ki pas-manzar meñ rah jaatā rahā
andar andar jaane mujh ko kaun mahkātā rahā
ḳhaak uḌāte dasht-e-dil meñ tum bhī ojhal ho ga.e
āḳhir us naqsh-e-kaf-e-pā se bhī maiñ jaatā rahā
vo bhī kyā din the ki jis jis mauj par paḌtā thā paañv
ḳhud kināre tak samundar chhoḌne aatā rahā
raakh sachchī thī tabhī to sar uThā kar chal paḌī
sho'la jhūTā thā diloñ ke biich bal khātā rahā
har zamāne meñ rahī apne zamāne kī talāsh
maiñ bisāt-e-vaqt par aatā rahā jaatā rahā
maiñ ne dil se duur haT kar ik sadā kī thī magar
der tak ye dasht mere harf dohrātā rahā
'ishq āḳhir 'ishq thā jaisā bhī thā jitnā bhī thā
sar-zamīn-e-dil pe ik parcham to lahrātā rahā
kaisa manzar tha ki pas-manzar mein rah jata raha
andar andar jaane mujh ko kaun mahkata raha
KHak uDate dasht-e-dil mein tum bhi ojhal ho gae
aaKHir us naqsh-e-kaf-e-pa se bhi main jata raha
wo bhi kya din the ki jis jis mauj par paDta tha panw
KHud kinare tak samundar chhoDne aata raha
rakh sachchi thi tabhi to sar uTha kar chal paDi
sho'la jhuTa tha dilon ke bich bal khata raha
har zamane mein rahi apne zamane ki talash
main bisat-e-waqt par aata raha jata raha
main ne dil se dur haT kar ek sada ki thi magar
der tak ye dasht mere harf dohraata raha
'ishq aaKHir 'ishq tha jaisa bhi tha jitna bhi tha
sar-zamin-e-dil pe ek parcham to lahraata raha
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 36)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.