Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise dil ka kaha bataen hum

Zohheb Farooqui Afrang

kaise dil ka kaha bataen hum

Zohheb Farooqui Afrang

MORE BYZohheb Farooqui Afrang

    kaise dil kahā batā.eñ ham

    raaz baat kyā batā.eñ ham

    tum ne pūchhā bhī to nahīñ ham se

    jo tumheñ mas.ala batā.eñ ham

    aaj insān sochtā hai ye

    kaise ḳhud ko ḳhudā batā.eñ ham

    ġhalatiyāñ ham ne bhī bahut haiñ

    kis ko kis ḳhatā batā.eñ ham

    ham ne bhī kaun vafā hai

    kyoñ use bevafā batā.eñ ham

    ḳhuun mohabbatoñ vaalā

    kis rishta baḌā batā.eñ ham

    bhuul kar bhī na dil lagāoge

    āshiqī sazā batā.eñ ham

    kaun aisā hai is zamāne meñ

    jis ko ham se burā batā.eñ ham

    jānvar se burā hai mat pūchho

    haal insāñ kyā batā.eñ ham

    kaise dil ka kaha bataen hum

    raaz ki baat kya bataen hum

    tum ne puchha bhi to nahin hum se

    jo tumhein masala bataen hum

    aaj insan sochta hai ye

    kaise KHud ko KHuda bataen hum

    ghalatiyan hum ne bhi bahut ki hain

    kis ko kis ki KHata bataen hum

    hum ne bhi kaun si wafa ki hai

    kyon use bewafa bataen hum

    KHun ka ya mohabbaton wala

    kis ka rishta baDa bataen hum

    bhul kar bhi na dil lagaoge

    aashiqi ki saza bataen hum

    kaun aisa hai is zamane mein

    jis ko hum se bura bataen hum

    jaanwar se bura hai mat puchho

    haal insan ka kya bataen hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now