kaise hain ye insan sanbhal kyon nahin sakte
kaise haiñ ye insān sañbhal kyoñ nahīñ sakte
tadbīr se taqdīr badal kyoñ nahīñ sakte
dushvār bahut marhala-e-shauq hai lekin
girgiT kī tarah rang badal kyoñ nahīñ sakte
mā'lūm to ho ġhota-zan-e-bahr-e-siyāsat
taḳhrīb se tā'mīr meñ Dhal kyoñ nahīñ sakte
nāloñ meñ asar chāhiye tāsīr fuġhāñ meñ
dil laakh hoñ patthar ke pighal kyoñ nahīñ sakte
maanā hai mire yaar riyā-kār-o-ġharaz-mand
yāroñ se magar kaam nikal kyoñ nahīñ sakte
haañ ḳhaam abhī jazba-e-mushtāq hai varna
lamhāt ġham-o-yās ke Tal kyoñ nahīñ sakte
ik baat badalne se agar baat bane hai
dushvār hai kyā baat badal kyoñ nahīñ sakte
nisbat ġham-e-daurāñ se ġham-e-dil ko nahīñ hai
aage ġham-e-daurāñ se nikal kyoñ nahīñ sakte
guftār meñ haiñ tez jo talvār se baḌh kar
kirdār kī bāñhoñ meñ sañbhal kyoñ nahīñ sakte
jazbāt kī tafsīr huuñ patthar to nahīñ huuñ
aañsū mirī āñkhoñ se nikal kyoñ nahīñ sakte
karte haiñ jo pābandī-e-dastūr kī talqīñ
vo sho'la-e-dastūr se jal kyoñ nahīñ sakte
kaise hain ye insan sanbhal kyon nahin sakte
tadbir se taqdir badal kyon nahin sakte
dushwar bahut marhala-e-shauq hai lekin
girgiT ki tarah rang badal kyon nahin sakte
ma'lum to ho ghota-zan-e-bahr-e-siyasat
taKHrib se ta'mir mein Dhal kyon nahin sakte
nalon mein asar chahiye tasir fughan mein
dil lakh hon patthar ke pighal kyon nahin sakte
mana hai mere yar riya-kar-o-gharaz-mand
yaron se magar kaam nikal kyon nahin sakte
han KHam abhi jazba-e-mushtaq hai warna
lamhat gham-o-yas ke Tal kyon nahin sakte
ek baat badalne se agar baat bane hai
dushwar hai kya baat badal kyon nahin sakte
nisbat gham-e-dauran se gham-e-dil ko nahin hai
aage gham-e-dauran se nikal kyon nahin sakte
guftar mein hain tez jo talwar se baDh kar
kirdar ki banhon mein sanbhal kyon nahin sakte
jazbaat ki tafsir hun patthar to nahin hun
aansu meri aankhon se nikal kyon nahin sakte
karte hain jo pabandi-e-dastur ki talqin
wo sho'la-e-dastur se jal kyon nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.