kaise kah dun ki mar gaya koi
kaise kah duuñ ki mar gayā koī
ban ke ḳhushbū bikhar gayā koī
sab ko apnī paḌī thī tūfāñ meñ
koī jaane kidhar gayā koī
baa'd muddat ke aa.ine meñ aaj
ḳhud ko dekhā to Dar gayā koī
saath chalne kī jab na taab rahī
mujh pe ilzām dhar gayā koī
lau sī dene lagī hai tanhā.ī
dāġh-e-hasrat nikhar gayā koī
koī ubhre to kis tarah ubhre
ġham ko pātāl kar gayā koī
ghar kī nazreñ bhī phir ga.iiñ 'hātif'
haath ḳhālī jo ghar gayā koī
kaise kah dun ki mar gaya koi
ban ke KHushbu bikhar gaya koi
sab ko apni paDi thi tufan mein
koi jaane kidhar gaya koi
ba'd muddat ke aaine mein aaj
KHud ko dekha to Dar gaya koi
sath chalne ki jab na tab rahi
mujh pe ilzam dhar gaya koi
lau si dene lagi hai tanhai
dagh-e-hasrat nikhar gaya koi
koi ubhre to kis tarah ubhre
gham ko patal kar gaya koi
ghar ki nazren bhi phir gain 'hatif'
hath KHali jo ghar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.