kaise nazar aae kahin imkan hamara
kaise nazar aa.e kahīñ imkān hamārā
jab Doltā hī rahtā hai īmān hamārā
nākām rahe haiñ jo hamesha kī tarah ham
badla hai irāda bhī to har aan hamārā
paiġhām diyā phir kabhī zahmat na kareñ ham
aur saath hī bhijvā diyā sāmān hamārā
har baar hamārī hī Dubotā huā kashtī
ye zor pakaḌtā huā tūfān hamārā
jo fā.eda honā thā usī se hue mahrūm
kuchh isse ziyāda nahīñ nuqsān hamārā
kam hotī ga.ī apnī tavajjoh bhī kuchh āḳhir
kuchh kaam bhī hotā gayā āsān hamārā
apnī hī 'zafar' ḳhaak uḌāte haiñ shab-o-roz
ham par bhī huā tang bayābān hamārā
kaise nazar aae kahin imkan hamara
jab Dolta hi rahta hai iman hamara
nakaam rahe hain jo hamesha ki tarah hum
badla hai irada bhi to har aan hamara
paigham diya phir kabhi zahmat na karen hum
aur sath hi bhijwa diya saman hamara
har bar hamari hi Dubota hua kashti
ye zor pakaDta hua tufan hamara
jo faeda hona tha usi se hue mahrum
kuchh isse ziyaada nahin nuqsan hamara
kam hoti gai apni tawajjoh bhi kuchh aaKHir
kuchh kaam bhi hota gaya aasan hamara
apni hi 'zafar' KHak uDate hain shab-o-roz
hum par bhi hua tang bayaban hamara
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 101)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.