Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise niklun KHumar se bahar

Rakhshanda Naved

kaise niklun KHumar se bahar

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    kaise niklūñ ḳhumār se bāhar

    bāzuoñ ke hisār se bāhar

    dard niklā hai sabr had se

    ashk nikle qatār se bāhar

    chand lamhoñ muḳhtasar qurbat

    aur yādeñ shumār se bāhar

    is liye us yaad meñ gum huuñ

    bhūlnā iḳhtiyār se bāhar

    aur jaa.eñ kahāñ mah o anjum

    roz-o-shab ke madār se bāhar

    tifl-e-dil phir udaas baiThā hai

    koī le jaa.e pyaar se bāhar

    koī 'raḳhshanda' milne aayā hai

    chal chaleñ intizār se bāhar

    kaise niklun KHumar se bahar

    bazuon ke hisar se bahar

    dard nikla hai sabr ki had se

    ashk nikle qatar se bahar

    chand lamhon ki muKHtasar qurbat

    aur yaaden shumar se bahar

    is liye us ki yaad mein gum hun

    bhulna iKHtiyar se bahar

    aur jaen kahan mah o anjum

    roz-o-shab ke madar se bahar

    tifl-e-dil phir udas baiTha hai

    koi le jae pyar se bahar

    koi 'raKHshanda' milne aaya hai

    chal chalen intizar se bahar

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.05.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now