Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise sitam ek jurm-e-mohabbat mein is dil par TuT gae

Sultana Mehr

kaise sitam ek jurm-e-mohabbat mein is dil par TuT gae

Sultana Mehr

MORE BYSultana Mehr

    kaise sitam ik jurm-e-mohabbat meñ is dil par TuuT ga.e

    kitne nashtar paar hue aur kitne nashtar TuuT ga.e

    ham ne maanā TūTnā dil lamhe bhar baat sahī

    lekin is lamhe meñ ham par lākhoñ mahshar TuuT ga.e

    pyaar rishta jab na rahā to saarī umangeñ ḳhaak huiiñ

    kāñch ke bartan haath se chhūTe farsh pe gir kar TuuT ga.e

    dard daulat ḳhuun ke aañsū palkoñ tak to pahuñche the

    is se aage luT ga.ī daulat saare gauhar TuuT ga.e

    jab tak thī parvāz tāqat uḌte hue Dar lagtā thā

    jis dam himmat dil meñ aa.ī donoñ shahpar TuuT ga.e

    kaise sitam ek jurm-e-mohabbat mein is dil par TuT gae

    kitne nashtar par hue aur kitne nashtar TuT gae

    hum ne mana TuTna dil ka lamhe bhar ki baat sahi

    lekin is lamhe mein hum par lakhon mahshar TuT gae

    pyar ka rishta jab na raha to sari umangen KHak huin

    kanch ke bartan hath se chhuTe farsh pe gir kar TuT gae

    dard ki daulat KHun ke aansu palkon tak to pahunche the

    is se aage luT gai daulat sare gauhar TuT gae

    jab tak thi parwaz ki taqat uDte hue Dar lagta tha

    jis dam himmat dil mein aai donon shahpar TuT gae

    Source:

    (Pg. 24)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now