kaise sunenge aap wo kanon se guftugu
kaise suneñge aap vo kānoñ se guftugū
karte haiñ ahl-e-'ishq to āñkhoñ se guftugū
daulat ne us kā rakh diyā lahja bigāḌ kar
kartā nahīñ vo Thiik se apnoñ se guftugū
jo raaz haiñ tumhāre na khul jaa.eñ vo kahīñ
karnā samajh ke soch ke logoñ se guftugū
tere ḳhayāl tere tasavvur meñ Duub kar
har raat maiñ ne kī hai charāġhoñ se guftugū
paayā na koī tarz-e-takallum meñ aap sā
ham kar chuke haiñ yuuñ to hazāroñ se guftugū
be-‘ilm haiñ jo un ko kitāboñ se kaam kyā
karte haiñ ahl-e-'ilm kitāboñ se guftugū
rusvā.iyoñ ke ḳhauf se mahfil meñ ai 'qamar'
kartā hai koī mujh se ishāroñ se guftugū
kaise sunenge aap wo kanon se guftugu
karte hain ahl-e-'ishq to aankhon se guftugu
daulat ne us ka rakh diya lahja bigaD kar
karta nahin wo Thik se apnon se guftugu
jo raaz hain tumhaare na khul jaen wo kahin
karna samajh ke soch ke logon se guftugu
tere KHayal tere tasawwur mein Dub kar
har raat main ne ki hai charaghon se guftugu
paya na koi tarz-e-takallum mein aap sa
hum kar chuke hain yun to hazaron se guftugu
be-‘ilm hain jo un ko kitabon se kaam kya
karte hain ahl-e-'ilm kitabon se guftugu
ruswaiyon ke KHauf se mahfil mein ai 'qamar'
karta hai koi mujh se ishaaron se guftugu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.