kaise tewar hain ab hawa ke dekh
kaise tevar haiñ ab havā ke dekh
ghar se pahle diyā jalā ke dekh
us ke ḳhat meñ koī dilāsa DhūñD
koī jumla ghaTā baḌhā ke dekh
shahr meñ ḳhaak to milegī nahīñ
koī afvāh hī uḌā ke dekh
un kā dīvān kuchh to kaam aa.e
hāl-e-dil 'mīr' ko sunā ke dekh
us kī mahfil meñ jaa.e rotā huā
nāma-bar ko sikhā paḌhā ke dekh
gar mirā raqs dekhnā hai to
kuchh mire kaan meñ batā ke dekh
us kī ḳhushbū kahīñ ga.ī to nahīñ
ghar ke parde hilā hilā ke dekh
aa.ine rahm-dil bhī hote haiñ
shart yeh hai ki sar jhukā ke dekh
hañste haiñ yā udaas hote haiñ
paas vāloñ ko duur jā ke dekh
kaise tewar hain ab hawa ke dekh
ghar se pahle diya jala ke dekh
us ke KHat mein koi dilasa DhunD
koi jumla ghaTa baDha ke dekh
shahr mein KHak to milegi nahin
koi afwah hi uDa ke dekh
un ka diwan kuchh to kaam aae
haal-e-dil 'mir' ko suna ke dekh
us ki mahfil mein jae rota hua
nama-bar ko sikha paDha ke dekh
gar mera raqs dekhna hai to
kuchh mere kan mein bata ke dekh
us ki KHushbu kahin gai to nahin
ghar ke parde hila hila ke dekh
aaine rahm-dil bhi hote hain
shart yeh hai ki sar jhuka ke dekh
hanste hain ya udas hote hain
pas walon ko dur ja ke dekh
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 22)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.