Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

Jaleel Haider Lashari

kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

Jaleel Haider Lashari

MORE BYJaleel Haider Lashari

    kaisī baḳhshish ye sāmān huā phirtā hai

    shahr saarā pareshān huā phirtā hai

    kaisā āshiq hai tire naam pe qurbāñ hai magar

    terī har baat se anjān huā phirtā hai

    ham ko jakḌā hai yahāñ jabr zanjīroñ ne

    ab to ye shahr zindān huā phirtā hai

    shab ko shaitān bhī māñge hai panāheñ jis se

    sub.h vo sāhib-e-īmān huā phirtā hai

    jaane kab kaun kise maar de kāfir kah ke

    shahr shahr musalmān huā phirtā hai

    kaisi baKHshish ka ye saman hua phirta hai

    shahr sara hi pareshan hua phirta hai

    kaisa aashiq hai tere nam pe qurban hai magar

    teri har baat se anjaan hua phirta hai

    hum ko jakDa hai yahan jabr ki zanjiron ne

    ab to ye shahr hi zindan hua phirta hai

    shab ko shaitan bhi mange hai panahen jis se

    subh wo sahib-e-iman hua phirta hai

    jaane kab kaun kise mar de kafir kah ke

    shahr ka shahr musalman hua phirta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now