Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisi hai aah apni tabiat bhari hui

Jameela Khuda Bakhsh

kaisi hai aah apni tabiat bhari hui

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    kaisī hai aah apnī tabī.at bharī huī

    āñkhoñ meñ ashk ashk meñ hasrat bharī huī

    aTkheliyāñ na kar nasīm-e-sahar ki hai

    rag rag meñ un guloñ nazākat bharī huī

    kyuuñ be-sabab hujūm-e-tamannā-o-yās se

    hai is dil-e-hazīñ imārat bharī huī

    kis karegā mayyat-e-ushshāq dafn

    yaañ hai shahīd-e-nāz turbat bharī huī

    gar jaam pilā.e to piinā halāl hai

    tujh meñ to sāqiyā hai malāhat bharī huī

    kyuuñ kar gadā na tere ġhanī huuñ sanam ki hai

    dast-e-karam meñ tere saḳhāvat bharī huī

    ifshā-e-rāz-e-ishq na ho ḳhauf hai yahī

    chhuptī nahīñ hai aañkh mohabbat bharī huī

    tum dekh lo 'jamīla' ki dil ġham huā na ho

    āñkhoñ meñ un ke kyuuñ hai nadāmat bharī huī

    kaisi hai aah apni tabiat bhari hui

    aankhon mein ashk ashk mein hasrat bhari hui

    aTkheliyan na kar tu nasim-e-sahar ki hai

    rag rag mein un gulon ki nazakat bhari hui

    kyun be-sabab hujum-e-tamanna-o-yas se

    hai is dil-e-hazin ki imarat bhari hui

    kis ja karega mayyat-e-ushshaq dafn tu

    yan hai shahid-e-naz ki turbat bhari hui

    gar jam tu pilae to pina halal hai

    tujh mein to saqiya hai malahat bhari hui

    kyun kar gada na tere ghani hun sanam ki hai

    dast-e-karam mein tere saKHawat bhari hui

    ifsha-e-raaz-e-ishq na ho KHauf hai yahi

    chhupti nahin hai aankh mohabbat bhari hui

    tum dekh lo 'jamila' ki dil gham hua na ho

    aankhon mein un ke kyun hai nadamat bhari hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now