Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaj-kulahon ne bahut shor macha rakkha hai

Lucky farooqi Hasrat

kaj-kulahon ne bahut shor macha rakkha hai

Lucky farooqi Hasrat

MORE BYLucky farooqi Hasrat

    kaj-kulāhoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    chor-uchakkoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    apnī āñkhoñ se kaho boleñ magar āhista

    in charāġhoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    vaj.h-e-tohmat haiñ mire jism pe bosoñ ke nishāñ

    kuchh gunāhoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    abū-is.hāq tirī phir se zarūrat hai hameñ

    shimr-zādoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    malak-ul-maut tirī sust-ḳhirāmī ke sabab

    chand sāñsoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    ik rubber band lo aur bāñdh do zulfeñ apnī

    in ghaTāoñ ne bahut shor machā rakkhā hai

    kaj-kulahon ne bahut shor macha rakkha hai

    chor-uchakkon ne bahut shor macha rakkha hai

    apni aankhon se kaho bolen magar aahista

    in charaghon ne bahut shor macha rakkha hai

    wajh-e-tohmat hain mere jism pe boson ke nishan

    kuchh gunahon ne bahut shor macha rakkha hai

    abu-ishaq teri phir se zarurat hai hamein

    shimr-zadon ne bahut shor macha rakkha hai

    malak-ul-maut teri sust-KHirami ke sabab

    chand sanson ne bahut shor macha rakkha hai

    ek rubber band lo aur bandh do zulfen apni

    in ghaTaon ne bahut shor macha rakkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now