Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi

Umr Daraz Hashir

kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi

Umr Daraz Hashir

MORE BYUmr Daraz Hashir

    kal bichhaḌte hue zabt marhala is qadar talḳh thā kyā batā.ūñ aḳhī

    merī ḳhāmoshiyoñ chaTānoñ ke andar thī merī sadā kyā batā.ūñ aḳhī

    abhī raushnī aur añdhere meñ kyā farq hai is se bilkul bhī vāqif nahīñ

    ek bujhte diye jo majbūr kirnoñ ne mujh se kahā kyā batā.ūñ aḳhī

    vaqt ke canvas par banī is barahna be-rañg tasvīr meñ dekh lo

    un dinoñ is ḳhayāloñ ke jangal meñ mere sivā kaun thā kyā batā.ūñ aḳhī

    shā.erī aur mohabbat ke sab zāviye aise logoñ āñkhoñ pe khulte nahīñ

    umr-bhar jin ke hisse meñ aatā nahīñ lams zā.iqa kyā batā.ūñ aḳhī

    ḳhvāb peḌoñ sūrat haiñ aur ye kabhī ḳhushk-o-banjar zamīnoñ meñ ugte nahīñ

    is liye niiñd se bhāgne vāloñ ko ḳhvāb falsafa kyā batā.ūñ aḳhī

    kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi

    meri KHamoshiyon ki chaTanon ke andar thi meri sada kya bataun aKHi

    tu abhi raushni aur andhere mein kya farq hai is se bilkul bhi waqif nahin

    ek bujhte diye ki jo majbur kirnon ne mujh se kaha kya bataun aKHi

    waqt ke canwas par bani is barahna si be-rang taswir mein dekh lo

    un dinon is KHayalon ke jangal mein mere siwa kaun tha kya bataun aKHi

    shaeri aur mohabbat ke sab zawiye aise logon ki aankhon pe khulte nahin

    umr-bhar jin ke hisse mein aata nahin lams ka zaiqa kya bataun aKHi

    KHwab peDon ki surat hain aur ye kabhi KHushk-o-banjar zaminon mein ugte nahin

    is liye nind se bhagne walon ko KHwab ka falsafa kya bataun aKHi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now