Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal chaak hote hote gareban rah gaya

Mirza Mohammad Ali Fidvi

kal chaak hote hote gareban rah gaya

Mirza Mohammad Ali Fidvi

MORE BYMirza Mohammad Ali Fidvi

    kal chaak hote hote garebān rah gayā

    maane the yaar mujh ko kahā maan rah gayā

    kyā meñ aa.ī dhyān tirā kis taraf gayā

    kyoñ baat karte karte mirī jaan rah gayā

    maiñ ne kamī na thī yahāñ jaan dene meñ

    aa gayā ye kahne ko ehsān rah gayā

    dekhā na tujh ko yaar dam-e-vāpsīñ talak

    afsos yaar dil meñ armān rah gayā

    sūrat banī hai ġham se ajab jis ne nazar

    'fidvī' ko tere dekh ke hairān rah gayā

    kal chaak hote hote gareban rah gaya

    mane the yar mujh ko kaha man rah gaya

    kya ji mein aai dhyan tera kis taraf gaya

    kyon baat karte karte meri jaan rah gaya

    main ne kami na ki thi yahan jaan dene mein

    tu aa gaya ye kahne ko ehsan rah gaya

    dekha na tujh ko yar dam-e-wapsin talak

    afsos yar dil hi mein arman rah gaya

    surat bani hai gham se ajab jis ne ki nazar

    'fidwi' ko tere dekh ke hairan rah gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Fidvi (Pg. 92)

    • Author: Mirza Mohammad Ali Fidvi
      • Publisher: Matba Azad Press, Patna
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now