Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re

Hasan Kamal

kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re

Hasan Kamal

MORE BYHasan Kamal

    kal ḳhvāb meñ dekhā sakhī maiñ ne piyā gaañv re

    kāñTā vahāñ phuul thā aur dhuup jaise chhāñv re

    jo dekhnā chāhe unheñ aa kar mujhī ko dekh le

    un mirā ik ruup re un mirā ik naañv re

    hai saath yuuñ din-rāt kañgnā se jaise haath

    dil meñ uljhā hai yuuñ paa.el meñ jaise paañv re

    mehñdī meñ laalī jis tarah kānoñ meñ baalī jis tarah

    jab yuuñ mile to kyā chale duniyā ham pe daañv re

    sab se saral bhāshā vahī sab se madhur bolī vahī

    bolīñ jo nainā bāñvare samjheñ jo sayyāñ sāñvare

    ham kab mile kaise mile koī na jaane bhed ye

    thoḌā bahut jāneñ 'hasan' lekin vo Thahrā bāñvare

    kal KHwab mein dekha sakhi main ne piya ka ganw re

    kanTa wahan ka phul tha aur dhup jaise chhanw re

    jo dekhna chahe unhen aa kar mujhi ko dekh le

    un ka mera ek rup re un ka mera ek nanw re

    hai sath yun din-raat ka kangna se jaise hath ka

    dil mein uljha hai yun pael mein jaise panw re

    mehndi mein lali jis tarah kanon mein baali jis tarah

    jab yun mile to kya chale duniya ka hum pe danw re

    sab se saral bhasha wahi sab se madhur boli wahi

    bolin jo naina banware samjhen jo sayyan sanware

    hum kab mile kaise mile koi na jaane bhed ye

    thoDa bahut jaanen 'hasan' lekin wo Thahra banware

    Source:

    Haasil Yahee (Pg. 65)

    • Author: Hasan Kamal
      • Edition: 2005
      • Publisher: Maktaba Jamia LTD
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now