Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise

Syed Ahmed Shameem

kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise

Syed Ahmed Shameem

MORE BYSyed Ahmed Shameem

    kal mujhe dekh ke thā aa.ina chauñkā jaise

    mere chehre meñ chhupā ho koī chehra jaise

    ham-kalāmī bhī miTātī nahīñ duurī ḳhalīj

    beach se TuuT gayā dard rishta jaise

    lahr halkī fazāoñ meñ jo ubhrī Duubī

    dard shāḳh se TuuTā koī pattā jaise

    kitne bikhre hue ḳhvāboñ khañDar lagtā hai

    vaqt ne de diyā us shaḳhs ko dhokā jaise

    dil ko chhūtī huī yuuñ dard lahreñ guzrīñ

    phir koī jhiil meñ lagtā hai ki Duubā jaise

    yuuñ har ik fard-e-tahayyur hai tasvīr 'shamīm'

    shahr meñ rāsta bhūlā huā bachcha jaise

    kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise

    mere chehre mein chhupa ho koi chehra jaise

    ham-kalami bhi miTati nahin duri ki KHalij

    beach se TuT gaya dard ka rishta jaise

    lahr halki si fazaon mein jo ubhri Dubi

    dard ki shaKH se TuTa koi patta jaise

    kitne bikhre hue KHwabon ka khanDar lagta hai

    waqt ne de diya us shaKHs ko dhoka jaise

    dil ko chhuti hui yun dard ki lahren guzrin

    phir koi jhil mein lagta hai ki Duba jaise

    yun har ek fard-e-tahayyur ki hai taswir 'shamim'

    shahr mein rasta bhula hua bachcha jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now