Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par

Mohsin Asrar

kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    kal raat vo jhagaḌtī rahī baat baat par

    aur maiñ kitāb likhtā rahā kā.enāt par

    kyā sochiye ki soch se aage hai zindagī

    pahre lagā rakhe haiñ kisī ne hayāt par

    kyā dāstāñ sunā.iye us ke visāl

    kyā tabsira kare koī sahrā raat par

    shāyad mirī anā mire lahje pe hai muhīt

    shak ho rahā hai us ko mire iltifāt par

    tere baġhair lagtā hai goyā ye zindagī

    tanqīd kar rahī hai mirī ḳhvāhishāt par

    phir us ne mirī ḳhū meñ mujhe qaid kar diyā

    ik ḳhvāb lapeT diyā merī zaat par

    kal raat wo jhagaDti rahi baat baat par

    aur main kitab likhta raha kaenat par

    kya sochiye ki soch se aage hai zindagi

    pahre laga rakhe hain kisi ne hayat par

    kya dastan sunaiye us ke visal ki

    kya tabsira kare koi sahra ki raat par

    shayad meri ana mere lahje pe hai muhit

    shak ho raha hai us ko mere iltifat par

    tere baghair lagta hai goya ye zindagi

    tanqid kar rahi hai meri KHwahishat par

    phir us ne meri KHu mein mujhe qaid kar diya

    ek KHwab sa lapeT diya meri zat par

    Source:

    shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 90)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now