Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal talak the jo KHub saya-dar

Ejaz Tabish

kal talak the jo KHub saya-dar

Ejaz Tabish

MORE BYEjaz Tabish

    kal talak the jo ḳhuub sāya-dār

    aaj ḳhud jal rahe haiñ vo ashjār

    aao ham bhī ḳharīd leñ chal kar

    lag rahā hai ḳhulūs bāzār

    apne chehre chhupā ke bhaag chalo

    ā.inoñ se fuzūl hai takrār

    phir koī hādisa huā shāyad

    bik rahe haiñ galī galī aḳhbār

    jab bhī dekhūñ unheñ ye lagtā hai

    jaise dekhā ho aaj pahlī baar

    shā.erī meñ sameT lo 'tābish'

    zindagī ke na.e na.e afkār

    kal talak the jo KHub saya-dar

    aaj KHud jal rahe hain wo ashjar

    aao hum bhi KHarid len chal kar

    lag raha hai KHulus ka bazar

    apne chehre chhupa ke bhag chalo

    aainon se fuzul hai takrar

    phir koi hadisa hua shayad

    bik rahe hain gali gali aKHbar

    jab bhi dekhun unhen ye lagta hai

    jaise dekha ho aaj pahli bar

    shaeri mein sameT lo 'tabish'

    zindagi ke nae nae afkar

    Source:

    Tahreek Jild 28 Shumara 12 March 1981-Svk (Pg. 29)

      • Publisher: Gopal Mittal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now