Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal uske nek banne ka imkan bhi to hai

Nayyar Qureshi Gangohi

kal uske nek banne ka imkan bhi to hai

Nayyar Qureshi Gangohi

MORE BYNayyar Qureshi Gangohi

    kal us ke nek banñe imkān bhī to hai

    mujrim zarūr hai magar insān bhī to hai

    chehra hasīñ vo dushman-e-īmān bhī to hai

    lekin nashāt-e-rūh sāmān bhī to hai

    ġhurbat Thokaroñ meñ jo pal kar javāñ huā

    tūfāñ ke rū-ba-rū vahī chaTTān bhī to hai

    kal tak uThī thiiñ jis sharāfat pe uñgliyāñ

    apne kiye pe aaj pashemān bhī to hai

    huuñ apne dostoñ nigāhoñ meñ mohtaram

    mujh ko milā ḳhulūs vardān bhī to hai

    qurbat hai us vaj.h-e-qarār-o-sukūñ magar

    us shabāb hashr sāmān bhī to hai

    samjhā gayā hai jis ko sharāfat pāsdār

    bātin meñ bad-shi.ār vo shaitān bhī to hai

    qātil ghar pe kaise kahūñ maiñ burā bhalā

    izzat-ma.āb hai mirā mehmān bhī to hai

    'nayyar' junūn-e-shauq meñ rusvā huā to kyā

    us alag samāj meñ pahchān bhī to hai

    kal us ke nek banne ka imkan bhi to hai

    mujrim zarur hai magar insan bhi to hai

    chehra hasin wo dushman-e-iman bhi to hai

    lekin nashat-e-ruh ka saman bhi to hai

    ghurbat ki Thokaron mein jo pal kar jawan hua

    tufan ke ru-ba-ru wahi chaTTan bhi to hai

    kal tak uThi thin jis ki sharafat pe ungliyan

    apne kiye pe aaj pasheman bhi to hai

    hun apne doston ki nigahon mein mohtaram

    mujh ko mila KHulus ka wardan bhi to hai

    qurbat hai us ki wajh-e-qarar-o-sukun magar

    us ka shabab hashr ka saman bhi to hai

    samjha gaya hai jis ko sharafat ka pasdar

    baatin mein bad-shiar wo shaitan bhi to hai

    qatil tu ghar pe kaise kahun main bura bhala

    izzat-maab hai mera mehman bhi to hai

    'nayyar' junun-e-shauq mein ruswa hua to kya

    us ki alag samaj mein pahchan bhi to hai

    Source:

    Takallum (Pg. B-19 E-18)

    • Author: Nayyar Qureshi Gangohi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Nayyar Qureshi Gangohi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now