kal yunhi tera tazkira nikla
kal yūñhī terā tazkira niklā
phir jo yādoñ kā silsila niklā
log kab kab ke āshnā nikle
vaqt kitnā gurez-pā niklā
'ishq meñ bhī siyāsateñ niklīñ
qurbatoñ meñ bhī fāsla niklā
raat bhī aaj be-karāñ niklī
chāñd bhī aaj ġham-zada niklā
sunte aa.e the qissa-e-majnūñ
ab jo dekhā to vāqi'a niklā
ham ne maanā vo bevafā hī sahī
kyā karoge jo bā-vafā niklā
muḳhtasar thiiñ firāq kī ghaḌiyāñ
pher lekin hisāb kā niklā
jis ko chāhā vahī sanam Thahrā
jis ko puujā vahī ḳhudā niklā
kal yunhi tera tazkira nikla
phir jo yaadon ka silsila nikla
log kab kab ke aashna nikle
waqt kitna gurez-pa nikla
'ishq mein bhi siyasaten niklin
qurbaton mein bhi fasla nikla
raat bhi aaj be-karan nikli
chand bhi aaj gham-zada nikla
sunte aae the qissa-e-majnun
ab jo dekha to waqi'a nikla
hum ne mana wo bewafa hi sahi
kya karoge jo ba-wafa nikla
muKHtasar thin firaq ki ghaDiyan
pher lekin hisab ka nikla
jis ko chaha wahi sanam Thahra
jis ko puja wahi KHuda nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.