Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan

nazeer Tabassum

kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan

nazeer Tabassum

MORE BYnazeer Tabassum

    kalī kalī meñ nihāñ hichkichāhaTeñ pahchān

    shāḳh-e-gul pe gul-e-nau āhaTeñ pahchān

    lahū aañkh se paḌh mere zabt tahrīr

    laboñ pe lafz na gin kapkapāhaTeñ pahchān

    maiñ pankhuḌī tarah apne hoñT kar duuñ

    titliyoñ tarah gungunāhaTeñ pahchān

    mahāz khol diyā hai to gahrī niiñd na so

    havā ke bhes meñ haiñ sansanāhaTeñ pahchān

    ye jhūTe nag haiñ magar husn se tarāshe haiñ

    jauharī hai agar jagmagāhaTeñ pahchān

    vo kaalā saañp hai tujh ko nazar na aa.egā

    jhāḌiyoñ meñ chhupī sarsarāhaTeñ pahchān

    'nazīr' log to chehre badalte rahte haiñ

    itnā saada na ban muskurāhaTeñ pahchān

    kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan

    tu shaKH-e-gul pe gul-e-nau ki aahaTen pahchan

    lahu ki aankh se paDh mere zabt ki tahrir

    labon pe lafz na gin kapkapahaTen pahchan

    main pankhuDi ki tarah apne honT wa kar dun

    tu titliyon ki tarah gungunahaTen pahchan

    mahaz khol diya hai to gahri nind na so

    hawa ke bhes mein hain sansanahaTen pahchan

    ye jhuTe nag hain magar husn se tarashe hain

    tu jauhari hai agar jagmagahaTen pahchan

    wo kala sanp hai tujh ko nazar na aaega

    tu jhaDiyon mein chhupi sarsarahaTen pahchan

    'nazir' log to chehre badalte rahte hain

    tu itna sada na ban muskurahaTen pahchan

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 707)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now