Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai

Shafiq Jaunpuri

kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai

Shafiq Jaunpuri

MORE BYShafiq Jaunpuri

  kalī par muskurāhaT aaj bhī ma.alūm hotī hai

  magar bīmār hoñToñ par hañsī ma.alūm hotī hai

  asīrī ḳhushī kis ko ḳhushī ma.alūm hotī hai

  charāġhāñ ho rahā hai tīrgī ma.alūm hotī hai

  ba-zāhir rū-e-gul par tāzgī ma.alūm hotī hai

  magar barbād chehre ḳhushī ma.alūm hotī hai

  nasīm-e-sub.h kyā sone vāloñ ko jagā.egī

  abhī to sub.h ḳhud soī huī ma.alūm hotī hai

  chaman lutf khotā hai chaman meñ ajnabī honā

  ḳhizāñ bhī apne gulshan bhalī ma.alūm hotī hai

  tujhe ham dopahar dhuup meñ dekheñge ai ġhunche

  abhī shabnam ke rone par hañsī ma.alūm hotī hai

  chalīñ garm āñdhiyāñ sūraj bhī chamkā ḳhāk-e-maqtal par

  vahī ḳhūn-e-shahīdāñ namī ma.alūm hotī hai

  zarā ai mai-kasho anjām-e-mahfil par nazar rakhnā

  ki daur-e-āḳhirī meñ niiñd ma.alūm hotī hai

  mah o anjum ke ḳhāliq kuchh na.e taare farozāñ kar

  ki phir āfāq meñ be-raunaqī ma.alūm hotī hai

  samundar bhī hai dariyā bhī hai chashme bhī haiñ nahreñ bhī

  aur insāñ hai ki ab tak tishnagī ma.alūm hotī hai

  zamāne taraqqī tishna-e-takmīl hai rab

  abhī ik mard-e-momin kamī ma.alūm hotī hai

  na jaao dekh lo sham-e-sahar jhilmilānā bhī

  ye mahfil bahār-e-āḳhirī ma.alūm hotī hai

  to phir karnā paḌtā hai vahāñ iqrār qudrat

  jahāñ insān ko apnī kamī ma.alūm hotī hai

  mirī ik aah par jo phuul dāman chaak karte the

  ab un ko mere nāloñ par hañsī ma.alūm hotī hai

  ba-zāhir chashm-e-sāqī mahv-e-ḳhvāb-e-nāz hai lekin

  javāb-e-nargis-e-bedār bhī ma.alūm hotī hai

  hamesha ḳhush rahe un nigāhoñ masīhā.ī

  ab apnī zindagī bhī zindagī ma.alūm hotī hai

  mohabbat hai zarūr un se magar merī matānat ko

  na jaane kyuuñ ye nisbat bhī burī ma.alūm hotī hai

  'shafīq' āsār haiñ mashriq jānib taaza kirnoñ ke

  ye merī shām-e-nau chāñdnī ma.alūm hotī hai

  kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai

  magar bimar honTon par hansi malum hoti hai

  asiri ki KHushi kis ko KHushi malum hoti hai

  charaghan ho raha hai tirgi malum hoti hai

  ba-zahir ru-e-gul par tazgi malum hoti hai

  magar barbaad chehre ki KHushi malum hoti hai

  nasim-e-subh tu kya sone walon ko jagaegi

  abhi to subh KHud soi hui malum hoti hai

  chaman ka lutf khota hai chaman mein ajnabi hona

  KHizan bhi apne gulshan ki bhali malum hoti hai

  tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche

  abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai

  chalin garm aandhiyan suraj bhi chamka KHak-e-maqtal par

  wahi KHun-e-shahidan ki nami malum hoti hai

  zara ai mai-kasho anjam-e-mahfil par nazar rakhna

  ki daur-e-aKHiri mein nind si malum hoti hai

  mah o anjum ke KHaliq kuchh nae tare farozan kar

  ki phir aafaq mein be-raunaqi malum hoti hai

  samundar bhi hai dariya bhi hai chashme bhi hain nahren bhi

  aur insan hai ki ab tak tishnagi malum hoti hai

  zamane ki taraqqi tishna-e-takmil hai ya rab

  abhi ek mard-e-momin ki kami malum hoti hai

  na jao dekh lo sham-e-sahar ka jhilmilana bhi

  ye mahfil ki bahaar-e-aKHiri malum hoti hai

  to phir karna hi paDta hai wahan iqrar qudrat ka

  jahan insan ko apni kami malum hoti hai

  meri ek aah par jo phul daman chaak karte the

  ab un ko mere nalon par hansi malum hoti hai

  ba-zahir chashm-e-saqi mahw-e-KHwab-e-naz hai lekin

  jawab-e-nargis-e-bedar bhi malum hoti hai

  hamesha KHush rahe un ki nigahon ki masihai

  ab apni zindagi bhi zindagi malum hoti hai

  mohabbat hai zarur un se magar meri matanat ko

  na jaane kyun ye nisbat bhi buri malum hoti hai

  'shafiq' aasar hain mashriq ki jaanib taza kirnon ke

  ye meri sham-e-nau ki chandni malum hoti hai

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  kali par muskurahaT aaj bhi malum hoti hai Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now