Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada

Zaheerunnisa Nigar

kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada

Zaheerunnisa Nigar

MORE BYZaheerunnisa Nigar

    kaliyoñ chaTak gul hañsī aur ziyāda

    aa.e tere hisse meñ ḳhushī aur ziyāda

    aa jaa.e in āñkhoñ meñ namī aur ziyāda

    ho jaa.e mire dil lagī aur ziyāda

    kuchh dil taḌap baḌh ga.ī manzil pe pahuñch kar

    kuchh ruuh bhī betāb huī aur ziyāda

    saaqī ne jo maḳhmūr nigāhoñ se navāzā

    sahbā mire sāġhar meñ Dhalī aur ziyāda

    phir jaag uThī hai mire ehsās duniyā

    phir ġham havā chalne lagī aur ziyāda

    palkoñ pe shab-e-ġham jo machalne lage aañsū

    jazbāt tafsīr huī aur ziyāda

    mahke jo tamannāoñ ke gul bazm-e-vafā meñ

    ḳhushbu-e-vafā phail ga.ī aur ziyāda

    īsār-o-mohabbat ke nishānāt jo ubhre

    kirdār ta.amīr huī aur ziyāda

    is daur ke insān meñ iḳhlās-o-vafā

    hone lagī mahsūs kamī aur ziyāda

    chhā jā.egā armānoñ duniyā meñ añdherā

    ḳhvāboñ agar sham.a jalī aur ziyāda

    ai sāqi-e-mahfil tire paiġhām-e-nazar se

    ho silsila-e-bāda-kashī aur ziyāda

    behtar hai ki mil jaa.e kisī peḌ saaya

    kyā hogā agar dhuup paḌī aur ziyāda

    jab dil ko 'nigār' un ke tasavvur ne pukārā

    rāhat kiran mujh ko milī aur ziyāda

    kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada

    aae tere hisse mein KHushi aur ziyaada

    aa jae in aankhon mein nami aur ziyaada

    ho jae mere dil ki lagi aur ziyaada

    kuchh dil ki taDap baDh gai manzil pe pahunch kar

    kuchh ruh bhi betab hui aur ziyaada

    saqi ne jo maKHmur nigahon se nawaza

    sahba mere saghar mein Dhali aur ziyaada

    phir jag uThi hai mere ehsas ki duniya

    phir gham ki hawa chalne lagi aur ziyaada

    palkon pe shab-e-gham jo machalne lage aansu

    jazbaat ki tafsir hui aur ziyaada

    mahke jo tamannaon ke gul bazm-e-wafa mein

    KHushbu-e-wafa phail gai aur ziyaada

    isar-o-mohabbat ke nishanat jo ubhre

    kirdar ki tamir hui aur ziyaada

    is daur ke insan mein iKHlas-o-wafa ki

    hone lagi mahsus kami aur ziyaada

    chha jaega armanon ki duniya mein andhera

    KHwabon ki agar shama jali aur ziyaada

    ai saqi-e-mahfil tere paigham-e-nazar se

    ho silsila-e-baada-kashi aur ziyaada

    behtar hai ki mil jae kisi peD ka saya

    kya hoga agar dhup paDi aur ziyaada

    jab dil ko 'nigar' un ke tasawwur ne pukara

    rahat ki kiran mujh ko mili aur ziyaada

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now