Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kam mayassar ho jo hoti hai usi ki qimat

Raees Rampuri

kam mayassar ho jo hoti hai usi ki qimat

Raees Rampuri

MORE BYRaees Rampuri

    kam mayassar ho jo hotī hai usī qīmat

    kasrat-e-ġham ne baḌhā.ī hai ḳhushī qīmat

    pairvī-e-dil-e-nādāñ salīqa hai jinheñ

    un se pūchhe koī be-rāh-ravī qīmat

    tum ne hañste mujhe dekhā hai tumheñ kyā mālūm

    karnī paḌtī hai adā kitnī hañsī qīmat

    ehtirām apnā ḳhud jis nigāhoñ meñ na ho

    kyā bhalā us nigāhoñ meñ kisī qīmat

    mujh se dhokā to huā dil ko magar mauj-e-sarāb

    mil ga.ī mujh ko mirī tishna-labī qīmat

    mere siine meñ chhupe zaḳhm batā.eñge 'ra.īs'

    maiñ ne jo hai adā zinda-dilī qīmat

    kam mayassar ho jo hoti hai usi ki qimat

    kasrat-e-gham ne baDhai hai KHushi ki qimat

    pairwi-e-dil-e-nadan ka saliqa hai jinhen

    un se puchhe koi be-rah-rawi ki qimat

    tum ne hanste mujhe dekha hai tumhein kya malum

    karni paDti hai ada kitni hansi ki qimat

    ehtiram apna hi KHud jis ki nigahon mein na ho

    kya bhala us ki nigahon mein kisi ki qimat

    mujh se dhoka to hua dil ko magar mauj-e-sarab

    mil gai mujh ko meri tishna-labi ki qimat

    mere sine mein chhupe zaKHm bataenge 'rais'

    main ne jo ki hai ada zinda-dili ki qimat

    Source:

    Ta'assurat (Pg. 94)

    • Author: Raees Rampuri
      • Publisher: Raees Rampuri
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now