Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

Seemab Akbarabadi

kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    kamāl-e-ilm o tahqīq-e-mukammal ye hāsil hai

    tirā idrāk mushkil thā tirā idrāk mushkil hai

    ye vīrānī tasavvur vo rañgīnī ḳhayāloñ

    kabhī mahfil meñ ḳhalvat hai kabhī ḳhalvat meñ mahfil hai

    vo ā.īna ho ho phuul taara ho ki paimāna

    kahīñ jo kuchh bhī TuuTā maiñ yahī samjhā mirā dil hai

    ujālā ho to DhūñDūñ dil bhī parvānoñ lāshoñ meñ

    mirī barbādiyoñ ko intizār-e-sub.h-e-mahfil hai

    vo dil le kar hameñ be-dil na samjheñ un se kah denā

    jo haiñ maare hue nazroñ ke un har nazar dil hai

    vo ai 'sīmāb' kyuuñ sargashta-e-tasnīm-o-jannat ho

    mayassar jis ko sair-e-tāj hai jamunā sāhil hai

    kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai

    tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai

    ye virani tasawwur ki wo rangini KHayalon ki

    kabhi mahfil mein KHalwat hai kabhi KHalwat mein mahfil hai

    wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana

    kahin jo kuchh bhi TuTa main yahi samjha mera dil hai

    ujala ho to DhunDun dil bhi parwanon ki lashon mein

    meri barbaadiyon ko intizar-e-subh-e-mahfil hai

    wo dil le kar hamein be-dil na samjhen un se kah dena

    jo hain mare hue nazron ke un ki har nazar dil hai

    wo ai 'simab' kyun sargashta-e-tasnim-o-jannat ho

    mayassar jis ko sair-e-taj hai jamuna ka sahil hai

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 250)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now