Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar

Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar

Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi

    kamāl-e-ishq meñ jazb-o-asar baat na kar

    unhīñ raah meñ kho ḳhabar baat na kar

    tirī talāsh meñ manzil koī qaid nahīñ

    haram dair dīvār-o-dar baat na kar

    kalīm dekh chuke husn-e-yār ke jalve

    ye un baḳht hai zauq-e-nazar baat na kar

    mahak mahak uThīñ galiyāñ jo khul ga.e gesū

    riyāz-e-hazrat-e-ḳhairul-bashar baat na kar

    shu.ūr usī to arsh-e-barīñ zīnat hai

    faqat rasā.ī-e-pā-e-bashar baat na kar

    tulūa-e-māh-e-arab se haiñ do-jahāñ raushan

    ziyā-furozī-e-shams-o-qamar baat na kar

    chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba

    bahār-e-gulshan-e-gulhā-e-tar baat na kar

    bahār-e-mus.haf-e-nātiq ke dekhne vaale

    iram dahr barg-o-shajar baat na kar

    hamāre ashk-e-nadāmat koī mol kahāñ

    ye nazr-e-naqd hai la.al-o-gohar baat na kar

    jahāñ meñ chaar phailā huā hai buġhz-o-inād

    añdherī raat meñ nūr-e-sahar baat na kar

    'shafī.a' ummīd hai baḳhshā.eñge vahī mujh ko

    ba-juz atā-e-shah-e-bahr-o-bar baat na kar

    kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar

    unhin ki rah mein kho ja KHabar ki baat na kar

    teri talash mein manzil ki koi qaid nahin

    haram ki dair ki diwar-o-dar ki baat na kar

    kalim dekh chuke husn-e-yar ke jalwe

    ye un ka baKHt hai zauq-e-nazar ki baat na kar

    mahak mahak uThin galiyan jo khul gae gesu

    riyaz-e-hazrat-e-KHairul-bashar ki baat na kar

    shuur usi ka to arsh-e-barin ki zinat hai

    faqat rasai-e-pa-e-bashar ki baat na kar

    tulua-e-mah-e-arab se hain do-jahan raushan

    ziya-furozi-e-shams-o-qamar ki baat na kar

    chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba ka

    bahaar-e-gulshan-e-gulha-e-tar ki baat na kar

    bahaar-e-mushaf-e-natiq ke dekhne wale

    iram ki dahr ki barg-o-shajar ki baat na kar

    hamare ashk-e-nadamat ka koi mol kahan

    ye nazr-e-naqd hai lal-o-gohar ki baat na kar

    jahan mein chaar su phaila hua hai bughz-o-inad

    andheri raat mein nur-e-sahar ki baat na kar

    'shafia' ummid hai baKHshaenge wahi mujh ko

    ba-juz ata-e-shah-e-bahr-o-bar ki baat na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now