Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai

Yashab Tamanna

kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai

Yashab Tamanna

MORE BYYashab Tamanna

    kamāl-e-shauq-e-safar bhī udhar jaatā hai

    kisī safar musāfir ho ghar jaatā hai

    vo aadmī to hotā hai ġham shiddat se

    hazār koshisheñ kar le bikhar jaatā hai

    vo hijr ho ki tire vasl koī lamha

    vo mustaqil nahīñ hotā guzar jaatā hai

    jo is se pahle bhī shīshe meñ baal aayā ho

    to dil kisī na.ī ulfat se Dar jaatā hai

    chaḌhā huā koī dariyā ho ki nashsha ho

    'yashab' kabhī na kabhī to utar jaatā hai

    kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai

    kisi safar ka musafir ho ghar hi jata hai

    wo aadmi hi to hota hai gham ki shiddat se

    hazar koshishen kar le bikhar hi jata hai

    wo hijr ho ki tere wasl ka koi lamha

    wo mustaqil nahin hota guzar hi jata hai

    jo is se pahle bhi shishe mein baal aaya ho

    to dil kisi nai ulfat se Dar hi jata hai

    chaDha hua koi dariya ho ya ki nashsha ho

    'yashab' kabhi na kabhi to utar hi jata hai

    Source:

    Kitab-e-tanhaii (Pg. 107)

    • Author: Yashab Tamanna
      • Edition: 2011
      • Publisher: Shirkat Press, Lahore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now