Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamar kaso to masafat ki aabru rakhna

Ahmad Adil

kamar kaso to masafat ki aabru rakhna

Ahmad Adil

MORE BYAhmad Adil

    kamar kaso to masāfat aabrū rakhnā

    jo chal paḌo to na manzil aarzū rakhnā

    bikhar rahā hai sabhī kuchh agarche duniyā meñ

    hayāt-e-nau magar phir bhī justujū rakhnā

    jahāñ meñ log faqat zindagī nibhāte haiñ

    baḌā kamāl hai jiine ko ḳhūb-rū rakhnā

    agar nigāh-o-nazar meñ ho rahmat-e-mutlaq

    jhukā.e sar mire maulā ke rū-ba-rū rakhnā

    vazāhatoñ ke liye baar baar jaanā ho

    isī ḳhayāl se mub.ham guftugū rakhnā

    ḳhizāñ ke baad chaman meñ bahār aane par

    ravish-ravish vahī afsāna-e-numū rakhnā

    savāl ziist dushvār hai bahut 'ādil'

    ki aarzū nahīñ rakhnā aarzū rakhnā

    kamar kaso to masafat ki aabru rakhna

    jo chal paDo to na manzil ki aarzu rakhna

    bikhar raha hai sabhi kuchh agarche duniya mein

    hayat-e-nau ki magar phir bhi justuju rakhna

    jahan mein log faqat zindagi nibhate hain

    baDa kamal hai jine ko KHub-ru rakhna

    agar nigah-o-nazar mein ho rahmat-e-mutlaq

    jhukae sar mere maula ke ru-ba-ru rakhna

    wazahaton ke liye bar bar jaana ho

    isi KHayal se mubham si guftugu rakhna

    KHizan ke baad chaman mein bahaar aane par

    rawish-rawish wahi afsana-e-numu rakhna

    sawal zist ka dushwar hai bahut 'adil'

    ki aarzu nahin rakhna ya aarzu rakhna

    Source:

    Aalam-e-Imkan (Pg. 112)

    • Author: Ahmad Adil
      • Publisher: Al-Hamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2021
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now