Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati

Naji Shakir

kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati

Naji Shakir

MORE BYNaji Shakir

    kamar baat sunte haiñ ye kuchh paa.ī nahīñ jaatī

    kahe haiñ baat aisī ḳhayāl meñ mere nahīñ aatī

    jo chāho sair-e-dariyā vaqf hai mujh chashm kashtī

    har ek mū-e-palak merā hai goyā ghaaT ḳhairātī

    ba-rañg us ke nahīñ mahbūb dil rone ko āshiq ke

    sa.ādat ḳhaañ hai laḌkā vaz.a kar letā hai barsātī

    jo koī aslī hai ThanDā garm yāqūtī meñ kyūñkar ho

    na laave taab tere lab jo nāmard hai zaatī

    na dekhā baaġh meñ nargis niiñ tujh kuuñ sharm jaane siiñ

    isī ġham meñ huī hai sar-nigūñ vo vaqt nahīñ paatī

    kahāñ mumkin hai 'nājī' ki taqvā aur salāh aave

    nigāh-e-mast-e-ḳhūbāñ vo nahīñ letā ḳharābātī

    kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati

    kahe hain baat aisi KHayal mein mere nahin aati

    jo chaho sair-e-dariya waqf hai mujh chashm ki kashti

    har ek mu-e-palak mera hai goya ghaT KHairaati

    ba-rang us ke nahin mahbub dil rone ko aashiq ke

    saadat KHan hai laDka waza kar leta hai barsati

    jo koi asli hai ThanDa garm yaquti mein kyunkar ho

    na lawe tab tere lab ki jo namard hai zati

    na dekha bagh mein nargis nin tujh kun sharm jaane sin

    isi gham mein hui hai sar-nigun wo waqt nahin pati

    kahan mumkin hai 'naji' sa ki taqwa aur salah aawe

    nigah-e-mast-e-KHuban wo nahin leta KHarabaati

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now