Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamre ki diwaron par aawezan jo taswiren hain

Shams Farrukhabadi

kamre ki diwaron par aawezan jo taswiren hain

Shams Farrukhabadi

MORE BYShams Farrukhabadi

    kamre dīvāroñ par āvezāñ jo tasvīreñ haiñ

    ahd-e-guzishta ke ḳhvāboñ bikhrī huī tābīreñ haiñ

    un ke ḳhat mahfūz haiñ ab tak mere ḳhutūt file meñ

    qasmeñ vaade ahd o paimāñ pyaar bharī tahrīreñ haiñ

    haath rekhā dekhne vaale merā haath bhī dekh zarā

    bar aa.eñ ummīdeñ jin se aisī kahīñ lakīreñ haiñ

    phir ye kis ne apnā kah kar hai sadā ik vahshī ko

    zindāñ jis ke shor se larzā paañv paḌī zanjīreñ haiñ

    'shams' hālat mat pūchho kuchh din se ye haal huā

    har dam tanhā soch meñ baiThe dāman apnā chīreñ haiñ

    kamre ki diwaron par aawezan jo taswiren hain

    ahd-e-guzishta ke KHwabon ki bikhri hui tabiren hain

    un ke KHat mahfuz hain ab tak mere KHutut ki file mein

    qasmen wade ahd o paiman pyar bhari tahriren hain

    hath ki rekha dekhne wale mera hath bhi dekh zara

    bar aaen ummiden jin se aisi kahin lakiren hain

    phir ye kis ne apna kah kar di hai sada ek wahshi ko

    zindan jis ke shor se larza panw paDi zanjiren hain

    'shams' ki haalat ka mat puchho kuchh din se ye haal hua

    har dam tanha soch mein baiThe daman apna chiren hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now